Kami Zara Si Agar Fasle Mein Aa Jae
kami zara si agar fasle mein aa jae
wo shaKHs phir se mere rabte mein aa jae
use kured raha hun tarah tarah se ki wo
jihat jihat se mere jaeze mein aa jae
kamal jab hai ki sanwre wo apne darpan mein
aur us ka aks mere aaine mein aa jae
kiya hai tark-e-talluq to muD ke dekhna kya
kahin na farq tere faisle mein aa jae
dimagh ahl-e-mohabbat ka sath deta nahin
use kaho ki wo dil ke kahe mein aa jae
wo meri rah mein aankhen bichhae baiTha ho
ye waqia bhi kabhi dekhne mein aa jae
wo mahtab-e-zamana hai log kahte hain
to us ka nur mere shab-kade mein aa jae
bas ek 'faragh' bacha hai junun-pasand yahan
kaho ki wo bhi mere qafile mein aa jae
(877) Peoples Rate This