Dayar-e-shab Ka Muqaddar Zarur Chamkega
dayar-e-shab ka muqaddar zarur chamkega
yahin kahin se charaghon ka nur chamkega
kahan hun main koi musa ki ek sada pe meri
wo nur phir se sar-e-koh-e-tur chamkega
tere jamal ka nashsha sharab jaisa hai
hamari aankhon se us ka surur chamkega
bharam jo pyas ka rakkhega aaKHiri dam tak
usi ke hath mein jam-e-tuhur chamkega
ye kah ke dar pe KHud ko chaDha diya main ne
ki dar par bhi sar-e-be-qusur chamkega
luTe hue hain magar hum abhi nahin mayus
hamare taj mein phir koh-e-nur chamkega
talash karta hai mujh musht-e-KHak mein tu abas
ghurur hoga jabhi to ghurur chamkega
mata-e-fan se nawaza gaya hai tujh ko 'faragh'
isi se nam tera dur dur chamkega
(1143) Peoples Rate This