Zaban Muddaa-ashna Chahta Hun
zaban muddaa-ashna chahta hun
dil ab zindagi se KHafa chahta hun
ada ko ada-ashna chahta hun
tujhi par tujhe mubtila chahta hun
wafa chahte hain wafa chahta hun
wo kya chahte hain main kya chahta hun
mohabbat ko ruswa kiya chahta hun
nazar mahram-e-iltija chahta hun
tayyun gham-e-ishq ka chahta hun
unhen chahta hun ye kya chahta hun
tere dil ko dard-ashna chahta hun
bhala chahta hun bura chahta hun
bahut tang hai wahm-e-hasti ki duniya
main aalam hi ab dusra chahta hun
shab-e-hijr tera tasawwur hi to hai
tujhe aaj tujh se juda chahta hun
meri maut matam ka husn-e-talab hai
sukun ek hangama-za chahta hun
KHata DhunDta hun ataon ke qabil
ata chahte hain KHata chahta hun
phir us bazm ko DhunDti hain nigahen
phir ek shikwa-e-barmala chahta hun
wo fariyaad ka ahd phir yaad aaya
phir ek nala-e-na-rasa chahta hun
phir aadab-e-furqat hain malhuz yani
hujum-e-bala-dar-bala chahta hun
phir ek sajda-e-tauba ki aarzu hai
tujhe aap se phir KHafa chahta hun
phir ummid-war-e-karam hun ki 'fani'
sitam-ha-e-shauq-azma chahta hun
koi wajh-e-taskin nahin gham na rahat
KHuda jaane 'fani' main kya chahta hun
(937) Peoples Rate This