Yun Nazm-e-jahan Darham-o-barham Na Hua Tha
yun nazm-e-jahan darham-o-barham na hua tha
aisa bhi tere husn ka aalam na hua tha
phir chheD diya wusat-e-mahshar ki faza ne
sauda tere wahshi ka abhi kam na hua tha
ya ishrat-e-do-roza tha ya hasrat-e-diroz
wo lamha-e-hasti jo abhi gham na hua tha
sad haif wo gul ho kaf-e-gul-chin mein jo ab tak
aazurda-e-awezish-e-shabnam na hua tha
qatil hi mera kyun ise kahta hai zamana
mana wo sharik-e-saf-e-matam na hua tha
raaz aaj mere dam se hua raaz-e-mohabbat
kuchh raaz na tha jab koi mahram na hua tha
pate hi KHajil rahm ka dariya umaD aaya
parda meri aankhon ka abhi nam na hua tha
ruswa na kar is soz ko ai sham-e-lab-e-gor
jo waqif-e-dil-sozi-e-hamdam na hua tha
ghar KHair se taqdir ne virana banaya
saman-e-junun mujh se faraham na hua tha
ek kufr sarapa ne kiya hashr ka qail
main mo'taqid-e-hashr-e-mujassam na hua tha
har dil mein nai shan-e-tajalli hai ki 'fani'
nashtar hai wo andaz jo marham na hua tha
(1021) Peoples Rate This