Yan Hosh Se Be-zar Hua Bhi Nahin Jata
yan hosh se be-zar hua bhi nahin jata
us bazm mein hushyar hua bhi nahin jata
kahte ho ki hum wada-e-pursish nahin karte
ye sun ke to bimar hua bhi nahin jata
dushwari-e-inkar se talib nahin Darte
yun sahl to iqrar hua bhi nahin jata
aate hain ayaadat ko to karte hain nasihat
ahbab se gham-KHwar hua bhi nahin jata
jate hue khate ho meri jaan ki qasmen
ab jaan se be-zar hua bhi nahin jata
gham kya hai agar manzil-e-jaanan hai bahut dur
kya KHak-e-rah-e-yar hua bhi nahin jata
dekha na gaya us se taDapte hue dil ko
zalim se jafakar hua bhi nahin jata
ye turfa sitam hai ki sitam bhi hai karam bhi
ab KHugar-e-azar hua bhi nahin jata
(1008) Peoples Rate This