Wo Mashq-e-KHu-e-taghaful Phir Ek Bar Rahe
wo mashq-e-KHu-e-taghaful phir ek bar rahe
bahut dinon mere matam mein sogwar rahe
KHuda ki mar jo ab dil pe iKHtiyar rahe
bahut qarar ke parde mein be-qarar rahe
kisi ne wada-e-sabr-azma kiya to hai
KHuda kare ki mujhe tab-e-intizar rahe
fana ke baad ye majburiyan are tauba
koi mazar mein koi sar-e-mazar rahe
sukun-e-maut meri lash ko nasib nahin
rahe magar koi itna na be-qarar rahe
main kab se maut ke is aasre pe jita hun
ki zindagi meri marne ki yaadgar rahe
jo dil bacha na sake jaan kya bacha lenge
na iKHtiyar raha hai na iKHtiyar rahe
main gham-nasib wo majbur-e-shauq hun 'fani'
jo na-murad jiye aur ummid-war rahe
(966) Peoples Rate This