Wo Kahte Hain Ki Hai TuTe Hue Dil Par Karam Mera
wo kahte hain ki hai TuTe hue dil par karam mera
magar min-jumla-e-adab-e-gham-KHwari hai gham mera
wahan sajde se ab tak qudsiyon ke sar nahin uThte
paDa tha jis jagah rah-e-mohabbat mein qadam mera
zahe taqdir-e-nakaami ki teri maslahat Thahri
teri marzi se wabasta hua allah re gham mera
na jaanen is safar ki manzil-e-awwal kahan hogi
fana ki aaKHiri manzil pe hai pahla qadam mera
mere josh-e-talab ki shan-e-istighna koi dekhe
ki main rahbar se aage mujh se aage hai qadam mera
main wo aazurda-e-wahm-e-musarrat hun maaz-allah
ki gham ko gham samajhne se bhi ghabraata hai dam mera
ye mahrum-e-tabassum mir-e-saman-e-tabassum hai
teri bazm-e-tarab mein mo'tabar hai ashk-e-gham mera
ab aage kis se likkha jae aaghaz-e-mohabbat par
fasana KHatm kar dete hain arbab-e-qalam mera
meri aawargi har qaid se be-zar hai shayad
ki ab us ki gali mein bhi guzar hota hai kam mera
baqa kahte hain jis ko wo mera ehsan hai 'fani'
wo hadis hun ki duniya-e-qadam bharti hai dam mera
(981) Peoples Rate This