Tera Nigah-e-shauq Koi Raaz-dan Na Tha
tera nigah-e-shauq koi raaz-dan na tha
aankhon ko warna jalwa-e-jaanan kahan na tha
aalam-e-juz-e'tibar-e-nihan-o-ayan na tha
yani ki tu ayan na hua aur nihan na tha
ab tak teri gali mein ye ruswaiyan na thin
ab tak to is zamin pe koi aasman na tha
kya din the jab maal-e-wafa ki KHabar na thi
wo din bhi the ki haal-e-wafa dastan na tha
talqin-e-sabr dil se to koi dushmani na thi
dekha ye haal qabil-e-sharh-o-bayan na tha
mafhum-e-kaenat tumhaare siwa nahin
tum chhup gae nazar se to sara jahan na tha
har shaKH har shajar se na tha bijliyon ko lag
har shaKH har shajar pe mera aashiyan na tha
aaghosh-e-maut mein tah-e-daman-e-yar hun
wo din gae ki mujh pe koi mehrban na tha
aazurda tha ki zabt-e-fughan mein asar nahin
sharminda hun ki zabt-e-fughan raegan na tha
ho bhi chuke the dam-e-mohabbat mein hum asir
aalam abhi ba-qaid-e-zaman-o-makan na tha
allah re be-niyazi-e-adab-e-iltifat
dekha mujhe to pae nazar darmiyan na tha
mere dil-e-ghuyur ka husn-e-talab to dekh
goya zaban pe harf-e-tamanna giran na tha
tu ne karam kiya to ba-unwan-e-ranj-e-zist
gham bhi mujhe diya to gham-e-jawedan na tha
'fani' fusun-e-maut ki tasir dekhna
Thahra wo dil ki jis pe sukun ka guman na tha
(914) Peoples Rate This