Sang-e-dar Dekh Ke Sar Yaad Aaya
sang-e-dar dekh ke sar yaad aaya
koi diwana magar yaad aaya
phir wo andaz-e-nazar yaad aaya
chaak-e-dil ta-ba jigar yaad aaya
zauq-e-arbab-e-nazar yaad aaya
sajda be-minnat-e-sar yaad aaya
har tabassum pe ye khata hun fareb
ki unhen dida-e-tar yaad aaya
phir tera naqsh-e-qadam hai darkar
sajda-e-rahguzar yaad aaya
jama karta hun ghubar-e-rah-e-dost
sar-e-shorida magar yaad aaya
hae wo marka-e-nawak-e-naz
dil bachaya to jigar yaad aaya
aaina ab nahin dekha jata
main ba-unwan-e-digar yaad aaya
dard ko phir hai mere dil ki talash
KHana-barbaad ko ghar yaad aaya
us ko bhule to hue ho 'fani'
kya karoge wo agar yaad aaya
(944) Peoples Rate This