Qasam Na Khao Taghaful Se Baz Aane Ki
qasam na khao taghaful se baz aane ki
ki dil mein ab nahin taqat satae jaane ki
hamari maut ne kuchh muKHtasar kiya warna
kuchh intiha hi na thi ishq ke fasane ki
giri na barq kuchh is KHauf se mere hote
taDap ke aag bujha dun na aashiyane ki
tumhaara dard to darman bana liya hum ne
ab aur sochiye tadbir dil dukhane ki
zamana kufr-e-mohabbat se kar chuka tha gurez
teri nazar ne palaT di hawa zamane ki
palaT palaT ke qafas hi ki samt jata hun
kisi ne rah batai na aashiyane ki
najat di gham-e-duniya se dard-e-dil ne mujhe
ye ek rah mili gham se chhuT jaane ki
wo subh-e-id ka manzar tere tasawwur mein
wo dil mein aa ke ada tere muskurane ki
bata raha hai har andaz KHak-e-'fani' ka
ye KHak hai usi kafir ke aastane ki
(927) Peoples Rate This