Mujhko Mere Nasib Ne Roz-e-azal Se Kya Diya
mujh ko mere nasib ne roz-e-azal se kya diya
daulat-e-do-jahan na di ek dil-e-mubtala diya
dil hi nigah-e-naz ka ek ada-shanas tha
jalwa-e-barq-e-tur ne tur ko kyun jala diya
qabr mein jab kisi tarah dil ki taDap na kam hui
yaad-e-KHiram-e-naz ne hashr ka aasra diya
roz-e-jaza gila to kya shukr-e-sitam hi ban paDa
hae ki dil ke dard ne dard ko dil bana diya
ab meri lash par huzur maut ko koste to hain
aap ko ye bhi hosh hai kis ne kise miTa diya
dil mein sama ke phir gai aas bandha ke phir gai
aaj nigah-e-dost ne kaba bana ke Dha diya
uf ki gunahgar hum hain to magar KHata muaf
aaTh pahar ke dard ne dil hi to hai dukha diya
aap hum apni aag mein ai gham-e-ishq jal bujhe
aag lage is aag ko phunk diya jala diya
yun na kisi tarah kaTi jab meri zindagi ki raat
chheD ke dastan-e-gham dil ne mujhe sula diya
girya-e-atshin ki dad de shab-e-gham to kaun de
KHud sar-e-sham kya bujhi shama ne dil bujha diya
yas ne dard hi nahin haq to ye hai dawa bhi di
'fani'-e-na-umid ko maut ka aasra diya
(963) Peoples Rate This