Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8135fccc2c3a144af1603b8f63353d08, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujh Pe Rakhte Hain Hashr Mein Ilzam - Fani Badayuni Poetry In English - Darsaal

Mujh Pe Rakhte Hain Hashr Mein Ilzam

mujh pe rakhte hain hashr mein ilzam

aa na jae zaban pe tera nam

zabt ki koshishen bhi jari hain

dard bhi kar raha hai apna kaam

jo ibarat na ho tere gham se

ahl-e-dil par wo zindagi hai haram

waqfa-e-maut bhi ghanimat hai

kuchh to fil-jumla mil gaya aaram

us ne dekha hai sham ka manzar

jis ne dekhi hai bekason ki sham

kis se ab dard ki dawa chahun

dard uThta hai le ke tera nam

ab qayamat qarib hai 'fani'

fitna-e-ishq ho chala hai tamam

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Pe Rakhte Hain Hashr Mein Ilzam In English By Famous Poet Fani Badayuni. Mujh Pe Rakhte Hain Hashr Mein Ilzam is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Mujh Pe Rakhte Hain Hashr Mein Ilzam for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Mujh Pe Rakhte Hain Hashr Mein Ilzam in PDF.