Mizaj-e-dahr Mein Un Ka Ishaara Pae Ja
mizaj-e-dahr mein un ka ishaara pae ja
jo ho sake to bahar-haal muskurae ja
bahaar-e-sad-chamanistan-e-arzu ban kar
mere KHayal ki ranginiyon mein aae ja
KHirad-nawaz nigahon ki aaD mein rah kar
faza-e-alam-e-diwangi pe chhae ja
pilae ja ki abhi hosh-e-be-KHudi hai mujhe
pilae ja mujhe saqi abhi pilae ja
dil o jigar pe guzar jaegi jo guzregi
teri nazar se jo fitne uThen uThae ja
zara Thahr ki ab anjam-e-soz-e-gham hai qarib
charagh-e-zist bhaDakne ko hai bujhae ja
sukut-e-mayyat-e-'fani' hai ek fasana-e-shauq
lab-e-KHamosh se har muddaa ko pae ja
(924) Peoples Rate This