Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8e187ede8ba9f16bdd579763620ab5e8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Lab Par Koi Dua Hi Nahin - Fani Badayuni Poetry In English - Darsaal

Mere Lab Par Koi Dua Hi Nahin

mere lab par koi dua hi nahin

is karam ki kuchh intiha hi nahin

kashti-e-e'tibar toD ke dekh

ki KHuda bhi hai na-KHuda hi nahin

meri hasti gawah hai ki mujhe

tu kisi waqt bhulta hi nahin

ab use na-ummid kyun kahiye

dil ko taufiq-e-muddaa hi nahin

gham mein lazzat kahan ki dil na raha

hae wo hasrat-ashna hi nahin

wahi tu hai wahi teri mahfil

ek 'fani'-e-mubtala hi nahin

(929) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Lab Par Koi Dua Hi Nahin In English By Famous Poet Fani Badayuni. Mere Lab Par Koi Dua Hi Nahin is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Mere Lab Par Koi Dua Hi Nahin for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Mere Lab Par Koi Dua Hi Nahin in PDF.