Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_80e79514f9fc430aed0f8ee929eadbe0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mar Kar Tere KHayal Ko Tale Hue To Hain - Fani Badayuni Poetry In English - Darsaal

Mar Kar Tere KHayal Ko Tale Hue To Hain

mar kar tere KHayal ko Tale hue to hain

hum jaan de ke dil ko sambhaale hue to hain

be-zar ho na jae kahin zindagi se dil

tasir se KHafa mere nale hue to hain

riste hain ab ke sal ki bahte hain dekhiye

phir fasl-e-gul mein zaKHm-e-dil aale hue to hain

arman jo yun nahin to nikalte hain kis tarah

yani hamare dil se nikale hue to hain

han dard-e-ishq un pe karam ki nazar rahe

sabr o qarar tere hawale hue to hain

ye sohbaten bhi dekhiye lati hain rang kya

mehman KHar panw ke chhaale hue to hain

kya jaaniye ki hashr ho kya subh-e-hashr ka

bedar tere dekhne wale hue to hain

'fani' tere amal hama-tan jabr hi sahi

sanche mein iKHtiyar ke Dhaale hue to hain

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mar Kar Tere KHayal Ko Tale Hue To Hain In English By Famous Poet Fani Badayuni. Mar Kar Tere KHayal Ko Tale Hue To Hain is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Mar Kar Tere KHayal Ko Tale Hue To Hain for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Mar Kar Tere KHayal Ko Tale Hue To Hain in PDF.