KHushi Se Ranj Ka Badla Yahan Nahin Milta
KHushi se ranj ka badla yahan nahin milta
wo mil gae to mujhe aasman nahin milta
hazar DhunDiye us ka nishan nahin milta
jabin mile to mile aastan nahin milta
majaz aur haqiqat kuchh aur hai yani
teri nigah se tera bayan nahin milta
bhaDak ke shola-e-gul tu hi ab laga de aag
ki bijliyon ko mera aashiyan nahin milta
wo bad-guman ki mujhe tab-e-ranj zist nahin
mujhe ye gham ki gham-e-jawedan nahin milta
teri talash kafi-ul-jumla ma-hasal ye hai
ki tu yahan nahin milta wahan nahin milta
bata ab ai jaras-e-daur main kidhar jaun
nishan-e-gard-e-rah-e-karwan nahin milta
mujhe bula ke yahan aap chhup gaya koi
wo mehman hun jise mezban nahin milta
tujhe KHabar hai tere tir-e-be-panah ki KHair
bahut dinon se dil-e-na-tawan nahin milta
kisi ne tujh ko na jaana magar ye kam jaana
ye raaz hai ki koi raaz-dan nahin milta
mujhe aziz sahi qadr-e-dil tumhein kyun ho
kami to dil ki nahin dil kahan nahin milta
dayar-e-umr mein ab qahat-e-mehr hai 'fani'
koi ajal ke siwa mehrban nahin milta
(997) Peoples Rate This