Jazb-e-dil Jab Ba-ru-e-kar Aaya
jazb-e-dil jab ba-ru-e-kar aaya
har nafas se payam-e-yar aaya
maut ka intizar tha aai
jaiye ab mujhe qarar aaya
jab kisi ne liya tumhaara nam
girya be-qasd-o-iKHtiyar aaya
be-qarari mein ab ye hosh nahin
kis ke dar par tujhe pukar aaya
farsh-e-gul phir bichha rahi hai nasim
aaiye mausam-e-bahaar aaya
aaj hum pi sake na wo aansu
un ke aage jo bar bar aaya
KHair to hai ki aap ke dar se
aaj 'fani' ummid-war aaya
(792) Peoples Rate This