Jab Pursish-e-haal Wo Farmate Hain Jaaniye Kya Ho Jata Hai
jab pursish-e-haal wo farmate hain jaaniye kya ho jata hai
kuchh yun bhi zaban nahin khulti kuchh dard siwa ho jata hai
ab KHair se un ki bazm ka itna rang to badla mere baad
jab nam mera aa jata hai kuchh zikr-e-wafa ho jata hai
yakta-e-zamana hone par sahab ye ghurur KHudai ka
sab kuchh ho magar KHakam-ba-dahan kya koi KHuda ho jata hai
qatra qatra rahta hai dariya se juda rah sakne tak
jo tab-e-judai la na sake wo qatra fana ho jata hai
phir dil se 'fani' sare ke sare naqsh-e-jafa miT jate hain
jis waqt wo zalim samne aa kar jaan-e-haya ho jata hai
(867) Peoples Rate This