Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bcb81f73a65015d05fcbfbc62e8031d3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Dil Mein Tere Gham Ne Hasrat Ki Bana Dali - Fani Badayuni Poetry In English - Darsaal

Jab Dil Mein Tere Gham Ne Hasrat Ki Bana Dali

jab dil mein tere gham ne hasrat ki bina Dali

duniya meri rahat ki qismat ne miTa Dali

ab barq-e-nasheman ko har shaKH se kya matlab

jis shaKH ko taka tha wo shaKH jala Dali

izhaar-e-mohabbat ki hasrat ko KHuda samjhe

hum ne ye kahani bhi sau bar suna Dali

jine bhi nahin dete marne bhi nahin dete

kya tum ne mohabbat ki har rasm uTha Dali

jine mein na ab 'fani' marne mein shumar apna

matam ki bisat us ne kya kah ke uTha Dali

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Dil Mein Tere Gham Ne Hasrat Ki Bana Dali In English By Famous Poet Fani Badayuni. Jab Dil Mein Tere Gham Ne Hasrat Ki Bana Dali is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Jab Dil Mein Tere Gham Ne Hasrat Ki Bana Dali for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Jab Dil Mein Tere Gham Ne Hasrat Ki Bana Dali in PDF.