Duniya-e-husn-o-ishq Mein Kis Ka Zuhur Tha
duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha
har aankh barq-pash thi har zarra tur tha
meri nazar ki aaD mein un ka zuhur tha
allah un ke nur ka parda bhi nur tha
thi har taDap sukun ki duniya liye hue
pahlu mein aap the ki dil-e-na-subur tha
hum kushtagan-e-gham pe ye ilzam-e-zindagi
be-mehr kuchh to pas-e-haqiqat zarur tha
baalin pe tum jab aae to aai wo maut bhi
jis maut ke liye mujhe jina zarur tha
thi un ke ru-ba-ru bhi wahi shan-e-iztirab
dil ko bhi apni waza pe kitna ghurur tha
lutf-e-hayat be-KHalish-e-muddaa kahan
yani ba-qadr-e-talKHi-e-sahba surur tha
uTh kar chale to hashr bhi uThna tha kya zarur
un ki gali se madfan-e-'fani' to dur tha
(1056) Peoples Rate This