Duniya Meri Bala Jaane Mahngi Hai Ya Sasti Hai
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
maut mile to muft na lun hasti ki kya hasti hai
aabaadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain
jo ujDe aur phir na base dil wo nirali basti hai
KHud jo na hone ka ho adam kya use hona kahte hain
nist na ho to hast nahin ye hasti kya hasti hai
ijz-e-gunah ke dam tak hain ismat-e-kaamil ke jalwe
pasti hai to bulandi hai raaz-e-bulandi pasti hai
jaan si shai bik jati hai ek nazar ke badle mein
aage marzi gahak ki in damon to sasti hai
wahshat-e-dil se phirna hai apne KHuda se phir jaana
diwane ye hosh nahin ye to hosh-parasti hai
jag suna hai tere baghair aankhon ka kya haal hua
jab bhi duniya basti thi ab bhi duniya basti hai
aansu the so KHushk hue ji hai ki umDa aata hai
dil pe ghaTa si chhai hai khulti hai na barasti hai
dil ka ujaDna sahl sahi basna sahl nahin zalim
basti basna khel nahin baste baste basti hai
'fani' jis mein aansu kya dil ke lahu ka kal na tha
hae wo aankh ab pani ki do bundon ko tarasti hai
(4577) Peoples Rate This