Dil Ki Taraf Hijab-e-takalluf UTha Ke Dekh
dil ki taraf hijab-e-takalluf uTha ke dekh
aaina dekh aur zara muskura ke dekh
is daur mein ye tarz-e-jafa aazma ke dekh
dil ke bajae dil ke sukun ko miTa ke dekh
taslim ki nazar se karishme raza ke dekh
begangi-e-dost ko apna bana ke dekh
is shorish-e-hayat ko had se baDha ke dekh
ye fitna aur hashr se pahle uTha ke dekh
yun dekhta hai tirgi-e-ab-o-gil mein kya
sholon se khel dil ko jala aur jala ke dekh
har zindagi ka nam na rakh dil ki zindagi
iman zindagi pe na la aazma ke dekh
teri tajalliyon se kisi tarah kam nahin
dil ki tajalliyon ko kabhi dil mein aa ke dekh
ab ke ada-e-KHas se kar imtihan-e-dil
jo barq tur par na giri ho gira ke dekh
han ahl-e-dil ke haal se ghaflat muhaal hai
achchha yaqin nahin to mujhi ko bhula ke dekh
duniya ko dekhna to mayassar nahin tujhe
zarre ko dekhna hai to duniya bana ke dekh
'fani' safina ab bhi na Dube to kya kare
tufan ko na dekh sitam na-KHuda ke dekh
(1780) Peoples Rate This