Dil Ki Har Larzish-e-muztar Pe Nazar Rakhte Hain
dil ki har larzish-e-muztar pe nazar rakhte hain
wo meri be-KHabari ki bhi KHabar rakhte hain
dard mein lutf-e-KHalish kaif-e-kashish pata hun
kya wo phir azm-e-tamasha-e-jigar rakhte hain
jis taraf dekh liya phunk diya tur-e-majaz
ye tere dekhne wale wo nazar rakhte hain
KHud taghaful ne diya muzhda-e-bedad mujhe
allah allah mere nale bhi asar rakhte hain
bebasi dekh ye sau bar kiya ahd ki ab
tujh se ummid na rakkhenge magar rakhte hain
hai tere dar ke siwa koi Thikana apna
kya kahin tere ujaDe hue ghar rakhte hain
koi is jabr-e-tamanna ki bhi had hai 'fani'
hum shab-e-hijr mein ummid-e-sahar rakhte hain
(1305) Peoples Rate This