Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cfa073a646f2a392d4d5c89d35613494, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Daro Na Tum Ki Na Sun Le Kahin KHuda Meri - Fani Badayuni Poetry In English - Darsaal

Daro Na Tum Ki Na Sun Le Kahin KHuda Meri

Daro na tum ki na sun le kahin KHuda meri

ki ru-shanas-e-ijabat nahin dua meri

wo tum ki tum ne jafa ki to kuchh bura na kiya

wo main ki zikr ke qabil nahin wafa meri

chale bhi aao ki duniya se ja raha hai koi

suno ki phir na sunoge tum iltija meri

kuchh aisi yas se hasrat se main ne dam toDa

jigar ko tham ke rah rah gai qaza meri

KHuda ne zahr ki tasir baKHsh di 'fani'

taras gai thi asar ko bahut dua meri

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daro Na Tum Ki Na Sun Le Kahin KHuda Meri In English By Famous Poet Fani Badayuni. Daro Na Tum Ki Na Sun Le Kahin KHuda Meri is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Daro Na Tum Ki Na Sun Le Kahin KHuda Meri for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Daro Na Tum Ki Na Sun Le Kahin KHuda Meri in PDF.