Bijliyan TuT PaDin Jab Wo Muqabil Se UTha
bijliyan TuT paDin jab wo muqabil se uTha
mil ke palTi thin nigahen ki dhuan dil se uTha
jalwa mahsus sahi aankh ko aazad to kar
qaid-e-adab-e-tamasha bhi to mahfil se uTha
phir to mizrab-e-junun saz-e-ana-laila chheD
hae wo shor-e-anal-qais ki mahmil se uTha
iKHtiyar ek ada thi meri majburi ki
lutf-e-sai-e-amal is matlab-e-hasil se uTha
umr-e-ummid ke do din bhi giran the zalim
bar-e-farda na tere wada-e-baatil se uTha
KHabar-e-qafila-e-gum-shuda kis se puchhun
ek bagula bhi na KHak-e-rah-e-manzil se uTha
hosh jab tak hai gala ghonT ke mar jaane ka
dam-e-shamshir ka ehsan tere bismil se uTha
maut hasti pe wo tohmat thi ki aasan na uThi
zindagi mujh pe wo ilzam ki mushkil se uTha
kis ki kashti tah-e-girdab-e-fana ja pahunchi
shor-e-labbaik jo 'fani' lab-e-sahil se uTha
(836) Peoples Rate This