Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_qrhjrdmdr2pi3l7h2c4n8ma4d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Be-zauq-e-nazar Bazm-e-tamasha Na Rahegi - Fani Badayuni Poetry In English - Darsaal

Be-zauq-e-nazar Bazm-e-tamasha Na Rahegi

be-zauq-e-nazar bazm-e-tamasha na rahegi

munh pher liya hum ne to duniya na rahegi

iza na rahegi jo gawara na rahegi

chheDa mujhe duniya ne to duniya na rahegi

dil le ke ye kya zid hai ki ab jaan bhi kyun ho

ye bhi na rahegi bahut achchha na rahegi

ye dard-e-mohabbat gham-e-duniya to nahin hai

ab maut bhi jine ka sahaara na rahegi

aisa bhi koi din meri qismat mein hai 'fani'

jis din mujhe marne ki tamanna na rahegi

(1117) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-zauq-e-nazar Bazm-e-tamasha Na Rahegi In English By Famous Poet Fani Badayuni. Be-zauq-e-nazar Bazm-e-tamasha Na Rahegi is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Be-zauq-e-nazar Bazm-e-tamasha Na Rahegi for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Be-zauq-e-nazar Bazm-e-tamasha Na Rahegi in PDF.