Be-KHudi Pe Tha Fani Kuchh Na IKHtiyar Apna
be-KHudi pe tha 'fani' kuchh na iKHtiyar apna
umr bhar kiya nahaq hum ne intizar apna
tab-e-zabt-e-gham ne bhi de diya jawab aaKHir
un ke dil se uThta hai aaj e'tibar apna
ishq zindagi Thahra lekin ab ye mushkil hai
zindagi se hota hai ahd ustuwar apna
shikwa barmala karte KHair ye to kya karte
han magar jo ban paDta shikwa ek bar apna
gham hi ji ka dushman tha gham se dur rahte the
gham hi rah gaya aaKHir ek gham-gusar apna
le gaya chaman ko bhi mausam-e-bahaar aa kar
ab qafas ka gosha hai hasil-e-bahaar apna
jhuT hi sahi wada kyun yaqin na kar lete
baat dil-fareb un ki dil umid-war apna
inqilab-e-alam mein warna der hi kya thi
un ke aastan tak tha KHair se ghubar apna
dil hai muztarib 'fani' aankh mahw-e-hairat hai
dil ne de diya shayad aankh ko qarar apna
(914) Peoples Rate This