Ai Maut Tujh Pe Umr-e-abad Ka Madar Hai
ai maut tujh pe umr-e-abad ka madar hai
tu e'tibar-e-hasti-e-be-e'tibar hai
ahd-e-azal pe zindagiyon ka madar hai
aalam tamam gham-kada-e-e'tibar hai
zarraat-e-chashm-e-shauq hain aamada-e-nigah
mahrumiyon ko ab bhi tera intizar hai
bedad ka gila to karun aur jo wo kahen
ye kahiye imtihan-e-wafa nagawar hai
ek ye wafa ki nang-e-gham-e-dost hai hunuz
ek wo sitam ki husn ka aaina-dar hai
tamiz-e-husn-o-ishq na irfan-e-gham magar
ek tir-e-be-panah kaleje ke par hai
muKHtar hun ki mo'tarif-e-jabr-e-dost hun
majbur hun ki ye bhi koi iKHtiyar hai
ab kis ko e'tibar ki tu bewafa nahin
ab kis ko intizar magar intizar hai
baqi nahin kisi ko nashat-e-junun ka hosh
kis josh par shabab-e-gham-e-rozgar hai
aadab-e-ashiqi ka taqaza hai aur baat
tu warna dil ki aaD mein KHud be-qarar hai
hogi kisi ko fursat-e-nazzara-e-jamal
'fani' KHarab-e-husn tamasha-e-yar hai
(1009) Peoples Rate This