Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cd5be6ccdddd0882ac428ab39461db1a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Lab Pe Wo Hangama-e-fariyaad Nahin Hai - Fani Badayuni Poetry In English - Darsaal

Ab Lab Pe Wo Hangama-e-fariyaad Nahin Hai

ab lab pe wo hangama-e-fariyaad nahin hai

allah re teri yaad ki kuchh yaad nahin hai

aati hai saba su-e-lahad un ki gali se

shayad meri miTTi abhi barbaad nahin hai

allah bachae asar-e-zabt se un ko

bedad to hai shikwa-e-bedad nahin hai

apni hi badaulat hai nasheman ki KHarabi

minnat-kash-e-be-dardi-e-sayyaad nahin hai

aamada-e-fariyaad-rasi hai wo sitamgar

fariyaad ki ab taqat-e-faryaad nahin hai

duniya mein dayar-e-dil-e-'fani' ke siwa hae

koi bhi wo basti hai jo aabaad nahin hai

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Lab Pe Wo Hangama-e-fariyaad Nahin Hai In English By Famous Poet Fani Badayuni. Ab Lab Pe Wo Hangama-e-fariyaad Nahin Hai is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Ab Lab Pe Wo Hangama-e-fariyaad Nahin Hai for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Ab Lab Pe Wo Hangama-e-fariyaad Nahin Hai in PDF.