Aah Se Ya Aah Ki Tasir Se
aah se ya aah ki tasir se
ji bahal jata kisi tadbir se
ab se gham sahne ki aadat hi sahi
sulh kar len lao charKH-e-pir se
jabr ko kyunkar na samjhun iKHtiyar
tum ne bandha hai mujhe zanjir se
kaam ab us tadbir par hai munhasir
wasta jis ko na ho taqdir se
us nigah-e-naz ka allah re faiz
nisbaten hain zaKHm-e-dil ko tir se
hoshiyar o shoKH-e-be-parwa-KHiram
bach ke meri KHak-e-daman-gir se
ishq-e-'fani' us pe apni ye bisat
khelti hain bijliyan taswir se
(804) Peoples Rate This