Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0f17e49745a9fdc8feddfa05b9a2cc35, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aah Ab Tak To Be-asar Na Hui - Fani Badayuni Poetry In English - Darsaal

Aah Ab Tak To Be-asar Na Hui

aah ab tak to be-asar na hui

kuchh tumhin ko meri KHabar na hui

sham se fikr-e-subh kya shab-e-hijr

mar rahenge agar sahar na hui

kis se dil ka suragh paenge hum

tu hi ai aarzu agar na hui

KHalq samjhi mujhi ko diwana

chaara farmae chaaragar na hui

kuchh nazar kah gai zaban na khuli

baat un se hui magar na hui

shikwa kya un se KHun-e-nahaq ka

zindagi thi hui basar na hui

hashr ka din bhi Dhal gaya 'fani'

dil ki rudad muKHtasar na hui

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aah Ab Tak To Be-asar Na Hui In English By Famous Poet Fani Badayuni. Aah Ab Tak To Be-asar Na Hui is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Aah Ab Tak To Be-asar Na Hui for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Aah Ab Tak To Be-asar Na Hui in PDF.