Ya Rab Meri Hayat Se Gham Ka Asar Na Jae
ya rab meri hayat se gham ka asar na jae
jab tak kisi ki zulf-e-pareshan sanwar na jae
wo aankh kya jo aariz o ruKH par Thahar na jae
wo jalwa kya jo dida o dil mein utar na jae
mere junun ko zulf ke sae se dur rakh
raste mein chhanw pa ke musafir Thahar na jae
main aaj gulsitan mein bula lun bahaar ko
lekin ye chahta hun KHizan ruTh kar na jae
paida hue hain ab to masiha nae nae
bimar apni maut se pahle hi mar na jae
kar li hai tauba is liye waiz ke samne
ilzam-e-tishnagi mere saqi ke sar na jae
saqi pila sharab magar ye rahe KHayal
aalam-e-rozgar ka chehra utar na jae
main us ke samne se guzarta hun is liye
tark-e-talluqat ka ehsas mar na jae
masrur-e-did-e-husn hai is waste 'fana'
duniya ke aib par kabhi meri nazar na jae
(1056) Peoples Rate This