Saqiya Tu Ne Mere Zarf Ko Samjha Kya Hai
saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai
zahr pi lunga tere hath se sahba kya hai
main chala aaya tera husn-e-taghaful le kar
ab teri anjuman-e-naz mein rakkha kya hai
na bagule hain na kanTe hain na diwane hain
ab to sahra ka faqat nam hai sahra kya hai
ho ke mayus-e-wafa tark-e-wafa to kar lun
lekin is tark-e-wafa ka bhi bharosa kya hai
koi paband-e-mohabbat hi bata sakta hai
ek diwane ka zanjir se rishta kya hai
saqiya kal ke liye main to na rakkhunga sharab
tere hote hue andesha-e-farda kya hai
meri taswir-e-ghazal hai koi aaina nahin
saikDon ruKH hain abhi aap ne dekha kya hai
saf-goi mein to sunte hain 'fana' hai mashhur
dekhna ye hai tere munh pe wo kahta kya hai
(1412) Peoples Rate This