Mujhe Rutba-e-gham Batana PaDega
mujhe rutba-e-gham batana paDega
agar mere pichhe zamana paDega
bahut gham-zada dil hain kaliyon ke lekin
usulan unhen muskurana paDega
sukun DhunDne aae the mai-kade mein
yahan se kahin aur jaana paDega
KHabar kya thi jashn-e-bahaaran ki KHatir
hamein aashiyana jalana paDega
bahaar ab nae gul khilane lagi hai
KHizan ko chaman mein bulana paDega
sukut-e-musalsal munasib nahin hai
asiro tumhein ghul machana paDega
'fana' tum ho shaer to afsana-e-gham
ghazal ki zabani sunana paDega
(1448) Peoples Rate This