Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6c4b6f488c0e469598586c84fa290a3c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Pyar Se Tera Dekhna Mujhe Chhup Chhupa Ke Wo Dekhna - Fana Nizami Kanpuri Poetry In English - Darsaal

Mujhe Pyar Se Tera Dekhna Mujhe Chhup Chhupa Ke Wo Dekhna

mujhe pyar se tera dekhna mujhe chhup chhupa ke wo dekhna

mera soya jazba ubhaarna tumhein yaad ho ki na yaad ho

rah-o-rasm qalb o nigah ke wo tumhaare dawe nibah ke

wo hamara sheKHi baghaarna tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo hamari chheD wo shoKHiyan wo hamara kaTna chuTkiyan

wo tumhaara kuhni ka marna tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi sard aahon ke silsile kabhi ThanDi sanson ke mashghale

wo hamari naqlen utarna tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo tumhaara shaer-e-KHush-nawa jise log kahne lage 'fana'

wo 'nisar' kah ke pukarna tumhein yaad ho ki na yaad ho

(1593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Pyar Se Tera Dekhna Mujhe Chhup Chhupa Ke Wo Dekhna In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Mujhe Pyar Se Tera Dekhna Mujhe Chhup Chhupa Ke Wo Dekhna is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Mujhe Pyar Se Tera Dekhna Mujhe Chhup Chhupa Ke Wo Dekhna for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Mujhe Pyar Se Tera Dekhna Mujhe Chhup Chhupa Ke Wo Dekhna in PDF.