JhuTi Hi Tasalli Ho Kuchh Dil To Bahal Jae
jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jae
dhudli hi sahi lekin ek shama to jal jae
is mauj ki Takkar se sahil bhi larazta hai
kuchh roz to tufan ki aaghosh mein pal jae
majburi-e-saqi bhi ai tishna-labo samjho
waiz ka ye mansha hai mai-KHwaron mein chal jae
ai jalwa-e-jaanana phir aisi jhalak dikhla
hasrat bhi rahe baqi arman bhi nikal jae
is waste chheDa hai parwanon ka afsana
shayad tere kanon tak paigham-e-amal jae
mai-KHana-e-hasti mein mai-kash wahi mai-kash hai
sambhle to bahak jae bahke to sambhal jae
hum ne to 'fana' itna mafhum-e-ghazal samjha
KHud zindagi-e-shaer ashaar mein Dhal jae
(1383) Peoples Rate This