Gham Har Ek Aankh Ko Chhalkae Zaruri To Nahin
gham har ek aankh ko chhalkae zaruri to nahin
abr uThe aur baras jae zaruri to nahin
barq sayyaad ke ghar par bhi to gir sakti hai
aashiyanon pe hi lahrae zaruri to nahin
rahbar rah musafir ko dikha deta hai
wahi manzil pe pahunch jae zaruri to nahin
nok-e-har-KHar KHatarnak to hoti hai magar
sab ke daman se ulajh jae zaruri to nahin
ghunche murjhate hain aur shaKH se gir jate hain
har kali phul hi ban jae zaruri to nahin
(1047) Peoples Rate This