Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c509fe766ca9a0c7598cb1cd7f936f7e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Duniya-e-tasawwur Hum Aabaad Nahin Karte - Fana Nizami Kanpuri Poetry In English - Darsaal

Duniya-e-tasawwur Hum Aabaad Nahin Karte

duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte

yaad aate ho tum KHud hi hum yaad nahin karte

wo jaur-e-musalsal se baz aa to gae lekin

be-dad ye kya kam hai be-dad nahin karte

sahil ke tamashai har Dubne wale par

afsos to karte hain imdad nahin karte

kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai

hum aah to karte hain fariyaad nahin karte

sahra se bahaaron ko le aae chaman wale

aur apne gulistan ko aabaad nahin karte

(992) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya-e-tasawwur Hum Aabaad Nahin Karte In English By Famous Poet Fana Nizami Kanpuri. Duniya-e-tasawwur Hum Aabaad Nahin Karte is written by Fana Nizami Kanpuri. Read famous Poem Duniya-e-tasawwur Hum Aabaad Nahin Karte for youth and Student by Fana Nizami Kanpuri. Free Download Duniya-e-tasawwur Hum Aabaad Nahin Karte in PDF.