Chehra-e-subh Nazar Aaya RuKH-e-sham Ke Baad
chehra-e-subh nazar aaya ruKH-e-sham ke baad
sab ko pahchan liya gardish-e-ayyam ke baad
mil gai rah-e-yaqin manzil-e-auham ke baad
jalwe hi jalwe nazar aae dar-o-baam ke baad
chahiye ahl-e-mohabbat ko ki diwana banen
koi ilzam na aaega is ilzam ke baad
imtehan-e-talb-e-KHam liya saqi ne
jam-e-lab-rez diya durd-e-tah-e-jam ke baad
hae kya chiz hai ye lutf-e-shikasta-pai
hausle aur baDhe koshish-e-nakaam ke baad
zindagi nam hai ek johd-e-musalsal ka 'fana'
rah-rau aur bhi thak jata hai aaram ke baad
(987) Peoples Rate This