Wo Aashna-e-manzil-e-irfan Hua Nahin
wo aashna-e-manzil-e-irfan hua nahin
jis ko tere karam ka sahaara mila nahin
dekha bahut nigah-e-talab ko mila nahin
tum se tum hi ho tum sa koi dusra nahin
jaun to uTh ke jaun kahan tere dar se main
tere siwa kisi ko bhi dil manta nahin
tera karam mata-e-do-alam mere liye
tera karam rahe to do-alam mein kya nahin
dast-e-talab baDhe to mile phir karam ki bhik
un ki ata ne ye bhi gawara kiya nahin
main bhi faqir-e-dar hun mujhe bhi nawaz do
mayus koi dar se tumhaare gaya nahin
takmil bandagi na hui mujh se ai 'fana'
jab tak dar-e-habib pe sajda kiya nahin
(1081) Peoples Rate This