Un Ke Jalwon Pe Hama-waqt Nazar Hoti Hai
un ke jalwon pe hama-waqt nazar hoti hai
kucha-e-yar mein yun apni basar hoti hai
jaane kya chiz mohabbat ki nazar hoti hai
wo jidhar hote hain duniya hi udhar hoti hai
hosh wale meri wahshat ko bhala kya samjhen
un ke diwanon ko aalam ki KHabar hoti hai
ishq mein chand-sitaron ki haqiqat kya ho
jalwa-e-yar pe qurban sahar hoti hai
aap ki yaad se hota hai mera dil raushan
aap ko dekh ke bedar nazar hoti hai
meri un ko na KHabar ho ye koi baat nahin
un ko to sare zamane ki KHabar hoti hai
jazba-e-ishq mein jannat ki tamanna kaisi
ye bulandi to meri gard-e-safar hoti hai
hech hoti hai nigahon mein mata-e-kaunain
mere dilbar ki nazar jab bhi idhar hoti hai
mere daman mein sama jate hain donon aalam
mere jaanan ki nazar jab bhi idhar hoti hai
aur kya hogi mere ishq ki mearaj 'fana'
zindagi yar ke qadmon mein basar hoti hai
(1228) Peoples Rate This