Tum Ho Sharik-e-gham To Mujhe Koi Gham Nahin
tum ho sharik-e-gham to mujhe koi gham nahin
duniya bhi mere waste jannat se kam nahin
chaha hai tujh ko tujh pe luTai hai zindagi
tere alawa kuchh mera din-o-dharam nahin
wo bad-nasib rahat-e-hasti na pa saka
jis pe mere habib ki chashm-e-karam nahin
main banda-e-sanam sahi kafir sahi magar
pae mera maqam kisi mein ye dam nahin
us raste mein sar ko jhukana haram hai
jis raste mein aap ka naqsh-e-qadam nahin
ai aane wale apni jabin ko jhuka kar aa
ye aastan-e-yar hai ku-e-haram nahin
ahl-e-junun ka is liye mashrab juda raha
waqif niyaz-e-ishq se shaiKH-e-haram nahin
munkir rah-e-wafa mein 'fana' kis tarah se ho
mera jahan mein koi wajud-o-adam nahin
(1228) Peoples Rate This