Tujhe DhunDhti Hain Nazren Mujhe Ek Jhalak Dikha Ja
tujhe DhunDhti hain nazren mujhe ek jhalak dikha ja
meri zindagi ke malik meri zindagi mein aa ja
na gharaz sanam-kade se na haram se koi matlab
mujhe wasta hai tujh se mere dil mein tu sama ja
tu bichhaD gaya hai jab se meri nind uD gai hai
teri rah tak raha hun mere chand ab to aa ja
mujhe dard de ke apna tu kahan chhupa hai ja kar
mera dil churane wale mujhe shakl to dikha ja
tera dard ban gaya hai meri zindagi ka hasil
mere dil pe hath rakh de zara hausla baDha ja
mujhe aa ke de sahaara ye qadam na Dagmagaen
kahin main bhaTak na jaun mujhe rasta dikha ja
mere nam ki nishani na rahe jahan mein baqi
meri jaan lene wale meri qabr bhi miTa ja
tere husn pe fida hun tere ishq mein 'fana' hun
mujhe teri aarzu hai meri KHalwaton mein aa ja
(1847) Peoples Rate This