Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7ab6f428e7966802087cb613e4a19238, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Nazron Pe Tasadduq Aaj Ahl-e-hosh Hain - Fana Bulandshahri Poetry In English - Darsaal

Teri Nazron Pe Tasadduq Aaj Ahl-e-hosh Hain

teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain

jaan-e-jaan teri nigahen mai-kada-bar-dosh hain

ishq mein ahl-e-wafa kitne aziyyat-kosh hain

KHun dil ka ho raha hai lab magar KHamosh hain

ai nigah-e-shauq kis manzil mein le aai mujhe

donon aalam jalwa-gah-e-yar mein ru-posh hain

mujh ko tanha dekhne wale na samjhen raaz-e-ishq

meri tanhai ke lamhe yar ke aaghosh hain

'sarmad'-o-'mansur'-o-'shibli' ki nazar se dekhiye

hosh wale hain wahi duniya mein jo behosh hain

lan-tarani ki sada par muskuraya tha koi

jitne zarre tur mein the aaj tak behosh hain

ai 'fana' baada-kashi mein ye unhi ka hai karam

un ki mast aankhon se pi kar bhi sarapa hosh hain

(1228) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Nazron Pe Tasadduq Aaj Ahl-e-hosh Hain In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Teri Nazron Pe Tasadduq Aaj Ahl-e-hosh Hain is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Teri Nazron Pe Tasadduq Aaj Ahl-e-hosh Hain for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Teri Nazron Pe Tasadduq Aaj Ahl-e-hosh Hain in PDF.