Nikle Wo Phul Ban Ke Tere Gulsitan Se Hum
nikle wo phul ban ke tere gulsitan se hum
mahka diya fazaon ko guzre jahan se hum
ab to yahi harim-e-mohabbat hai ai sanam
jaen kahan ab uTh ke tere aastan se hum
duniya mein ab kahin bhi Thaharti nahin nazar
tujh sa hasin laen to laen kahan se hum
dil le ke jis ne dard-e-mohabbat ata kiya
mangenge ab dawa bhi usi mehrban se hum
daman mein kuchh to Dal de apne karam ki bhik
daman tahi na jaenge us aastan se hum
tera karam raha jo rah-e-ishq mein sanam
ek rose aa milenge tere karwan se hum
likkhi hui thi qaid-e-anasir nasib mein
le kar chale hain apna qafas aashiyan se hum
rah-e-junun mein khilne lage aashiqi ki phul
un ke karam ke sae mein guzre jahan se hum
Thukraen ya nawaz len wo hum ko ai 'fana'
shikwa kabhi karenge na apni zaban se hum
(1087) Peoples Rate This