Mujhko Duniya Ke Har Ek Gham Se ChhuDa Rakkha Hai
mujh ko duniya ke har ek gham se chhuDa rakkha hai
jalwa-e-yar ne madhosh bana rakkha hai
maut se aap ki ulfat ne bacha rakkha hai
warna bimar-e-gham-e-hijr mein kya rakkha hai
arsa-e-hashr mein ruswai yaqini thi magar
teri rahmat ne har ek jurm chhupa rakkha hai
manzil-e-dair-o-haram chhoD ke ai jaan-e-jahan
main ne kaba teri chaukhaT ko bana rakkha hai
jazba-e-ishq mein takmil-e-ibaadat ke liye
main ne sar yar ke qadmon mein jhuka rakkha hai
tere jalwon ki ye shoKHi are tauba tauba
hosh musa ka sar-e-tur uTha rakkha hai
(1113) Peoples Rate This