Mere Rashk-e-qamar Tu Ne Pahli Nazar Jab Nazar Se Milai Maza Aa Gaya
mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milai maza aa gaya
barq si gir gai kaam hi kar gai aag aisi lagai maza aa gaya
jam mein ghol kar husn ki mastiyan chandni muskurai maza aa gaya
chand ke sae mein ai mere saqiya tu ne aisi pilai maza aa gaya
nashsha shishe mein angDai lene laga bazm-e-rindan mein saghar khanakne laga
mai-kade pe barasne lagin mastiyan jab ghaTa ghir ke aai maza aa gaya
be-hijabana wo samne aa gae aur jawani jawani se Takra gai
aankh un ki laDi yun meri aankh se dekh kar ye laDai maza aa gaya
aankh mein thi haya har mulaqat par surKH aariz hue wasl ki baat par
us ne sharma ke mere sawalat pe aise gardan jhukai maza aa gaya
shaiKH-sahab ka iman bik hi gaya dekh kar husn-e-saqi pighal hi gaya
aaj se pahle ye kitne maghrur the luT gai parsai maza aa gaya
ai 'fana' shukr hai aaj baad-e-fana us ne rakh li mere pyar ki aabru
apne hathon se us ne meri qabr pe chadar-e-gul chaDhai maza aa gaya
(1531) Peoples Rate This