Mere Dagh-e-dil Wo Charagh Hain Nahin Nisbaten Jinhen Sham Se
mere dagh-e-dil wo charagh hain nahin nisbaten jinhen sham se
unhen tu hi aa ke bujhaega ye jale hain tere hi nam se
main hun ek aashiq-e-be-nawa tu nawaz apne payam se
ye teri raza pe teri KHushi tu pukar le kisi nam se
main to gum hun teri talash mein mujhe kaun jaane tere siwa
koi kaise mahram-e-raaz ho teri aashiqi ke maqam se
tera ishq hai meri zindagi tera zikr hai meri bandagi
tujhe yaad karta hun main sada mujhe kaam hai isi kaam se
kabhi mai-kade pe jo dil raha tere aashiqon ki nazar paDe
use kahiye baada-e-marifat jo chhalak paDe abhi jam se
kahin uTh ke jaun main kyun 'fana' ki payam us ka mila mujhe
jo mila kabhi to milega wo mujhe dard-e-dil ke maqam se
(1153) Peoples Rate This