Maqam-e-hosh Se Guzra Makan Se La-makan Pahuncha
maqam-e-hosh se guzra makan se la-makan pahuncha
tumhaare ishq mein diwana-e-manzil kahan pahuncha
nazar ki manzilon mein bas tumhin husn-e-mujassam the
mata-e-arzu le kar main ulfat mein jahan pahuncha
usi ne ishq ban kar do-jahan ko phunk Dala hai
wo shoala jo teri nazron se dil ke darmiyan pahuncha
junun zahir hua ruKH par KHudi par be-KHudi chhai
ba-qaid-e-hosh main jab bhi qarib-e-astan pahuncha
tum apni justuju mein ye mera shauq-e-talab dekho
tumhaare ishq mein luT kar bhi tum tak jaan-e-jaan pahuncha
talluq toD kar jaan-e-jahan sare zamane se
main pahuncha tha jahan mujh ko teri KHatir wahan pahuncha
'fana' wo jalwa-gar hone lage har bazm-e-iman mein
mera dil le ke jab mujh ko sar-e-ku-e-butan pahuncha
(1318) Peoples Rate This