Mail-ba-karam Mujh Par Ho Jaen To Achchha Ho
mail-ba-karam mujh par ho jaen to achchha ho
maqbul mere sajde ho jaen to achchha ho
is dasht-nawardi se pichha to kahin chhuTe
hum kucha-e-jaanan mein mar jaen to achchha ho
sar ho dar-e-jaanan pe dam apna nikal jae
ye kaam mohabbat mein kar jaen to achchha ho
yun to sabhi aae hain dafnane mujhe lekin
wo bhi meri mayyat pe aa jaen to achchha ho
phir dard-e-judai ka jhagDa na rahe koi
hum nam tera le kar mar jaen to achchha ho
dekhen na kisi ko hum phir dekh ke ruKH tera
didar tera kar ke mar jaen to achchha ho
rah jae mohabbat ka duniya mein bharam kuchh to
do phul hi turbat pe dhar jaen to achchha ho
dhaDka laga rahta hai har waqt balaon ka
hum sath nasheman ke jal jaen to achchha ho
badnam hi karne ko aaen wo magar aaen
wo itna karam mujh par kar jaen to achchha ho
ja sakte hain jaane ko hum chal ke 'fana' dekhen
wo KHud hamein mahfil mein bulwaen to achchha ho
(1155) Peoples Rate This